MERA BADLA
" abe o Naved ke bacche chal uth kaam kar bohat so liya "Shabana aunty ki awaaz aai. phir Naved utha aur muh hath dhone laga, tabhi Shahid uncle ki awaaz aai "kaha mar gaya, jaldi se mujh chai bana k lake de, suna kya?? lagta hai aaj chai time par nahi mile gi....." Naved jaldi se ktichen me gaya aur chai banane laga. chai bana k jaise hi usne ek cup uthaya to wo hath se chut k niche gir padi aur tut gayi, tabhi aunty dodte hue aai aur gusse se boli " haye re meri cup tod diya.. abe o ab ye kya tera baap lake dega qabr se??? " keh kar use ek zor dar thappad jad diya bechara Naved foran rone laga to Shabana aunty uska kaan pakadte hue boli " jaldi se saare tukde utha kar phek, agar ek phi per me chuba to tu nahi bachega.. samjha ab jaldi se chai leke aa pehle" .keh k wo chali gayi. Or phir Naved roni surat bana ke chai leke pohcha aur chai di to uncle bole " kya be chai banane me itna time lagta hai kya ? agar kal se late hua to yaad rakhna mai tera wo haal karunga ke tu zindgi bhar nahi bhulega." " ab khada khada muh kya dekh raha hai ja jaake bartan dho ,agar is baar ek bhi bartan tuta na to mai tujhe tod dungi. chal ab dafa ho yaha se.." Shabana boli. bechara Naved muh latkaye kitchen ki taraf chala gaya..
Shahid sahab Naved k abbu k bohat acche dost the. ek accident me dono maare gaye, tabse Naved apne abbu k dost ke ghar par reh raha tha. jab tak Naved k abbu zinda the tab tak Shahid sahab ki dosti thi magar unke marne ke baad unho ne sab bhula diya.. Naved ko ghar to laaye par beta bana kar nahi ek nokar bana kar, kabhi unho ne uske sath pyar se baat nahi ki balke kabhi pyar se dekha bhi nahi.. Naved us waqt 16 saal ka tha, uska school bhi chut chuka tha..
jab Naved kitchen me pohcha to uski chikh( awaaz) sunai di, to Shahid Sahab bole " ab kya kar diya is kambakht ne??? " "zarur koi naya drama hoga, chal kar dekhte hai.. " Shabana boli phir wo dono waha pohche to dekha Naved ke per me cup ka ek tukda dhansa tha aur Naved baitha dard se ro raha tha. " accha hua, aur cup tod humari" Shabana muh banante hue boli. to Shahid Sahab ne wo tukda per se nikala. tukda jaise hi nikla, per se khoon nikalne laga. Naved aur zor se rone laga. " itna sa tukda laga hai aur nakhre dekho kaise chilla ke ro raha hai.." Shahid Sahab bole, " are ye say bartan na dhone ka bahana hai.. ye le dawa laga aur jaldi se kaam par lag ja. mai aau to mujhe ek bhi bartan nahi milna chahiye.." Shabana boli aur chali gayi.. Naved ne rote hue dawa lagaya pair uth kar bartan dhone laga. bartan dho ke jab free hua to usne nashta karna shuru kiya, abhi wo nashta kar hi raha tha k Shabana aai aur boli " are wah! kaam itna pada hai aur nawab saheb baithe nashta kar rahe hai..pehle uth aur jaake saare kapde utar kar unhe acche se rakh phir aake nashta karna. chal uth abhi. " keh ke usne nashte ki plate utha kar door kar di.. Naved bechara uth kar gaya saare kapde utaare , unhe acche se unki jaga rakh diye phir aake nashta karne laga. nashta kar k wo jaise hi utha tabhi Shahid sahab ki awaaz aai.. "abe o Naved kaha chala gaya ? aa yaha.." Naved langdate hue foran waha gaya aur bola " kya hua Malik ? " " ab ye bakwass band kar aur mujhe TV ka remote utha kar de, jaldi " Shahid saheb bole. " g abhi data hu" keh k Naved ne remote utha kar Shahid sahab ko diya jo bilkul unke saamne rakhe ek table par rakha tha. TV chalu karte hi wo bole " chal ab dafa ho yaha se.. " Naved chota sa muh bana kr apne room me chala gaya..jo dikhne me kisi kalkothri (jail) se kam na tha. waha ek choti si purani bed rakhi thi Naved uspe jake baith gaya aur rone laga.. "abbu aapko yahi uncle mile the dost banane k liye.. " Naved rote hue bola aur sochne laga......
" are Naved beta tum yaha road par kyu baithe ho?? " Shahid sahab Naved ko dekhte hue bole. " kya karu uncle jab mera koi hai hi nahi is duniya me to kaha jau..? "
"are beta mai tumhare abbu ka sabse accha dost hu, agar tum chaho to humare sath humare ghar par reh sakte ho.. aakhir tum mere bete ki tarha ho " " sach me ??? " Naved ne pucha, " ha bilkul sach " Shahid sahab bole. " mai bohat khush hu mujhe mere abbu phir se mil gaye..." Naved khushi se jhoomne laga. phir Shahid sahab k sath unke ghar agaya. ghar pohach kar, " itna bada ghar ??? bohat maza ayega yaha to. are wah! yaha to TV bhi hai... ye TV mai dekh sakta hu??? " Naved ne khushi se pucha. " ha kyu nahi.. bilkul dekh sakte ho. " Shabana ne aate hue kaha. " aap dono kitne acche hai ek dam mere ammi abbu ki tarha " keh kar wo TV dekhne me lag gaya.. TV dekhne ke baad use bhuk lagi to wo kitchen me gaya aur Shabana se bola " aunty mai khana kha sakta hu ???? " " are kyu nahi khao na jo chahiye... ruko mai abhi kuch deti hu.. " Shabana boli phir use khana nikal k diya. pura din Naved ka maze se guzra. dusre din jab wo utha aur TV dekhne gaya to Shabana boli " bohat TV dekh liya ab kaam karo ghar ka phir TV dekhna.." " par aunty mai kyu kaam karu ? kaam ke liye to aap hai na..? " Naved ne jaise hi ye kaha Shabana ne ye kehte hue "mujhse zaban ladata hai abhi batati hu " ek zor dar thappad mar diya..
udhar , Naved ye sochte hi rone laga. roz ke mar aur dant se wo pareshan ho chuka tha, usne ye tey kar liya tha ke wo unse badla zarur lega.. ab use sirf mauqe (chance) ki talash thi, raat ko jab wo saara kaam khatam kar k khana kha raha tha to 12 baj rahe the. wo khana kha ke aya aur apne bed par late gaya. abhi subha k 6 hi baje the k uske upar pani ki bochaar hui aur uski aankh khul gayi. " bohat so liya ab uth aur kaam par lag ja.." keh k Shabana chali gayi. Naved jab niche pohcha to Shahid sahab bole " tum mere dost k bete ho is liye tumhe yaha rehne ki jaga di, kapde diye, ek kamra bhi diya itna khayal kiya tumhara ek dam aram ki zindagi di tumhe dekho kitna bada Dil hai humara.. magar phir bhi tum kaam karne me itna time lagate ho.. ab jao aur chai leke aao. " Naved gaya aur Chai bana k le aaya. par jab Shabana ne Chai pee to gusse se boli " itni meethi chai ??? abe o chini tere baap k paise ki aati hai kya?? " "par maine kam chini dali thi. " Naved apni safai me bola. " accha matlab ab mai jhut bol rahi hu ha...? abhi batati hu... keh kar jaise hi Shabana ne Naved ko thappad marna chaha Naved ne unka hath pakad liya aur bola " apna hath na qabu me rakho samjhi.." ye dekh k Shabana ko aur gussa aya usne dusra hath bhi uthana chaha. par is baar jab tak wo hath uthati Naved ne ek thappad mar diya. thappad ka panda tha k Shahid sahab k hath se cup chut k gir padi aur tut gayi aur saari chai zamin me phel gayi. "ab bohat hukumat kar li tum logo ne..bohat kaam kara liya ab bas, agar aaj k baad dono me se kisi ne bhi mujh par gaussa kiya ya koi kaam bola to mujhse bura koi nahi hoga.. aaj se jo mai kahunga whai hoga is ghar me, suna tum dono ne.. ab khadi muh kya dekh rahi ho jaa k mere liye nashta banao accha sa aur usse pehle ek coffee ajani chahiye samjhi... " Naved ne gusse me Shabana ka hath modte hue kaha. uska ye roop dekhte hi wo jaldi se kitchen me chali gayi.. udhar Shahid sahab chup chap ja hi rahe the k piche se Naved kii awaaz aai "aur tum, kaha ja rahe ho ? farsh par jo chai girai hai use kya aapke abba huzur aake saaf karenge .? saaf karo. " uska gussa dekh k Shahid sahab foran kaam par lag gaye.
Naved ab Dil hi Dil me bohat khush ho raha tha kyu k uska badla lene ka jo sapna tha wo ab pura ho raha tha. wo ab pehle ki zindagi se azaad tha. bas khud par hue zulm ka hisab karna baqi tha.. jab Shabana ne use coffee aur nashta laake diya to wo bola "ab jao aur mere saare kapde dho do aur ha use sukha kar unki jaga par bhi rakh dena .." ye sunte hi wo chali gayi. " aur tum jaldi se TV chalu karo aur jao yaha se.." ye sunte hi Shahid sahab ne jaldi se TV on kar di.. Naved ab maze se TV dekhta jata aur nashta karta jata. jaise hi uska nashta khatam hua usne Shahid sahab ko bartan dete hue kaha " ye bartan lo aur jao dhulo ise " unke jaate hi Naved phir TV dekhne laga.. abhi wo TV dekh hi raha tha k Shabana aai to Naved ne use jhadu lagane ka order de diya..phir kya tha wo pure ghar me jhadu lagane lagi. udhar jab Shahid sahab wapas aye to Naved unse bola " suno mera jalebi khane ka bohat mann hai jao aur jaldi se le aao aur ha garam hone chahiye.." Shahid sahab jo ab bichare the wo bhagte hue ghar se chale gaye. Ek taraf Shabana Jhadu laga rahi thi to Shahid sahab jalebiya kharid rahe the, aur Naved to bas enjoy kar raha tha.. kuch der baad jab Shahid sahab Jalebi leke aagaye to Naved unse leke khane laga, aur unse bola " aaj ka news paper leke aao" Shahid sahab news paper le aaye to wo bola " dikhai nai de raha k mai Jalebi kha raha hu , chalo padh k sunao " phir kya tha Naved jalebiya khata jata Shahid sahab use news padh k sunate jate. jab saari jalebiya khatam ho gayi to wo bola " jab tak mai rukne ko na bolu tum padhte rehna.." Shahid sahab k muh se jaise kuch nikal nahi raha tha.. wo news padhna start kiye.. " char logo ne mil k ki ek ladki ki hathya.. school se hui bacche ki kidnaping..." tabhi saamne se Shabana aai dupatte se apna muh pochte hue use dekhte hi Naved bola " apna muh pochne k bajaye ghar me pocha maro to zyada accha hoga..." phir kya tha Shabana pocha marne lagi aur Shahid sahab lage news padhne aur Naved maze se So raha tha..jab wo so raha tha tab 10 baj rahe the aur jab utha to 4 baj rahe the. usne dekha Shahid sahab apni mari hui awaaz me news padhe ja rahe the... nahi mallum itne ghanto me unho ne kitni baar news paper khatam kiya hoga...Shabana ek kone me baithi thi Naved ko dekhte hi jaldi se khadi ho gayi. tabhi usne Shahid sahab ko rukne ko kaha " aur kitna pakaoge yr bas karo.." ye sunte hi wo bohat khush hue mano unke jaan me jaan aai ho. dono husband-wife kaam se thake ek taraff khade the...unke chehre jaise murjha gaye the...
" Aaj mera badla pura ho gaya... abse roz aisa hi hoga.. maza agaya ,, hahaha......." abhi Naved khush hi tha k bed se gir kar uski Aankh khul gayi aur uske kaan me ek awaaz aai.... " abe o nawab sahab kitna soyega chal ab uth ja, bohat kaam pada hai.. use kaon tera baap karega..."

END