(Story- 1)
Part -5
......keh ke wo chala gaya...
Kuch door jaane ke baad use Azaan (Prayer) ki Awaaz sunai di to usne Aasman ki taraf dekha aur bola. " God mai nahi janta ke mai Divya tak kaise pohchunga, par mai itna zarur janta hu tune mujhe yaha tak pohchaya hai to tu hi mujhe Divya tak bhi pohchayega aur mujhe tujh par pura Bharosa hai.... " " beta agar tumhara Irada nek hai to tum zarur apni manzil tak pohchoge bas mushkilo se har mat manna.." ek sahab bole aur Muskurate hue chale gaye. " agar mujhe Divya ko hasil karna hai to mujhe Mushkilo ka samna to karna hi padega.. aur mai isse bilkul piche nahi hatunga. " keh k wo aage badha. abhi wo kuch hi door gaya tha ke use Road ke dusri taraf ek Bus Stop par Atul khada nazar ayaa. use dekhte hi wo uski taraf badhne laga... abhi wo Road cross hi kar raha tha ke side se ek Car aake ruki. uske break ki awaaz sunte hi jaise Atul ne us taraf dekha to Sanjay ko dekhte hi ghabra gaya aur laga waha se bhagne. " sorry.." keh ke Sanjay bhi uskke piche bhaga, kuch door bhagne ke baad use pakad hi liya. " bol Divya kaha hai..? " " kaun Divya ? mai kisi Divya ko nahi janta. ? " " mai usi ladki ki baat kar raha hu jo mere sath Train me thi aur jiska tum logo ne Kidnap kiya hai.." " mujhe nahi pata is baare me.. " Sanajy use marta jata aur puchte jaata phir use leke Police Station pohcha. " Sir jin 3no ki mai baat kar raha tha unme se ek ye hai.. puchiye isse kaha hai eri Divya.. ? " Sanjay gusse se bola. " Cooldown plz. hum puch tach karte hai jaldi pata chal jayega Relax.. " keh kke Inspector Atul ko lock up me leke gaye. " dekh pehle hi sab kuch bata dega to wada karta hu ek hath bhi nahi lagaunga.. " " Sir mujhe nahi pata is baare me kcuh sach bol raha hu.. " " tum log se pyar se baat karna hi bewakufi hai.. " khud se keh ke usne pass khade Constable (hawaldar) ko isharaa kiya to wo log use marne lage. phir wo bahar agaya. " tum tension mat lo, 2-4 padenge na jab tab dekhna kaise muh kholta hai. " Inspector ne kaha. " Sir ab mujhse aur control nahi ho raha bas kar raha hai ke wo bataye aur mai jaake Apni Divya se mil luu..." " mai samjh sakta hu , jaise ab tak wait kiya hai bas thoda aur wait kar lo phir dekhna bohat jald tum unke pass hoge. " Inspector ne kaha.
kuch der baad, " Sanjay, Divya ka pata chal gaya hai. " Inspector ne aate hue kaha. " kya sach me.? " " han bilkul. us Atul ne sab bata diya. " " ye to bohat acchi baat hai " " wo to hai, hume abhi nikalna hoga.. " Inspector ne kaha phir wo log nikal pade. Atul unke sath tha. " yaha se Right lena " Atul bola. wo log uske bataye hue Direction par chale ja rahe the. kkuch der baad wo log ek Hotel ke pass ruke. phir Hotel me chale gaye.Room par pohach kar darwaza knock kiya. Karan ne dekha Atul khada tha to jaldi se darwaza khola aur bas... " tu kaha tha yr kabse tera wait....." itna hi bol paya tha k police andar agayi. unhe dekhte hi wo ghabra gaya. " Divya kkaha hai.? " Sanjay ne Karan se puchne laga. tabhi saare Constable aaye aur bole " Sir andar koi nahi hai." " ladki kaha hai..? "Inspector ne pucha. " wo to Rajiv ke sath 10 min pehle hi ja chuki hai. " Karan ne darte hue bataya. " kaha ke liye nikle hai wo log. ? " Inspector ne pucha. " wo use leke kisi Dalal ke pass gaya taake usse...." " usse Deal kkar sako... tum jaise Insaano ki waja se Aaj samaj ki Maa-Behne gharo se nikalne se darti hai.. " Inspector ne kaha. " us Dalal ne humse kaha tha ke use ek ladki ki zarurat hai hume acche paise mil rahe the to humne ye sab kiya.. " Atul bola. "is waqt wo kaha hai pata karo aur roko use warna...." " warna mujhse bura koi nahi hoga.. " Inspector ne Sanjay ki baat kat te hue kaha. " Hello Rajiv tu kaha haiabhi.? " Karan ne phone lagate hue kaha. " bas samajh le pohach gaya. tum log arahe ho ya akele hi jau.? " Rajiv ne pucha. " tu bas wahi khade reh hum log arahe hai.. " " chal thik hai mai wait karta hu. " Rajiv ne phone rakhte hue kaha. " kya kaha usne ? " Sanjay ne pucha. " wo waha pohach hi gaya hai bas humara Intezar kkar raha hai. " Karan ne bataya. " hume abhi waah pohachna hoga.. " Sanjay ne kaha. phir wo log waah se nikle. waha pohachte hi sab yaha waha bat gaye. Rajiv ne karan ko aata dekha to foran bola " kitna time lagate ho yr tum log.. ? upar se ye Dimag kharab kar ke rakhi hai... Atul kaha hai dikhai nahi de raha..? " " yr Ek problem ho gayi hai... hume Police ne pakad liya.. " " ye kya bakwas kar raha hai.. matlab tu yaha unse bhag ke aya hai na..? " " nahi wo mere sath aaye hai.. " Karan ki ye baat sunte hi wo pareshan ho gaya aur idhar udhar dekhna shuru kiya to dekha ek taraf Inspector , Atul ko liye arahe the. unhe dekhte hi ek taraf bhaga to waha se constable ko aata dekh ruk gaya, phir use chaaro taraf se gher liya gaya.. divya, Sanjay ko aata dekh bohat khush hui aur uski taraf bhagi aur use Hug kar liya. Sanjay, Divya kko dekh kar bohat khush tha.. " tum thik to ho na..? unho ne tumhe kuch kiya to nahi..? " " mai bilkul thik hun...sach me.. " Divya boli to Sanjay ne sukun ki saans li. phir Inspector se hath milate hue bola " thank you Sir, aapki help k bina mai Divya tak kabhi na pohachta.. " " are thank you to mujhe tumhe kehna chahiye agar tum Atul ko na laate to pata nahi hum kab takk ye case solve kar paate... sach kahun to humne to kuch kiya nahi jo kiya tumne kiya infect tumne humari help ki hai... okay ab mai chalta hu, mujhe inhe inke Sasural bhi to le jana hai... " keh ke Inspector unhe leke chala gaya.. " thank you so much mujhe dobara un gundo se bachane ke liye... " " agar wo log tumhe India ke bahar bhi le jaate to mai waha bhi aakke tumhe bachata... " " Accha g.. " " han bilkul. kyu ki mai....." " tumhara Dost jo hu... janti hu, You know what Sanjay tum sach me mere Dost ho... " keh Divya aage badh gayi. magar Sanjay wahi khada raha. " kya soch rahe ho chalna nahi hai kya..? " " shayed ye sahi time nahi Propose karne ka... " Sanjay apne man me bola. " oh God! phir se Train pakadni hogi.. " Divya khud se boli. Train me pohach kar, " suno ek kaam karo is baar mera hath pakad lo kahi pichli baar ki tarha phir na koi le jaye.. " usne Hanste hue kaha phir Sanjay ka hath pakad liya, aur uske Shoulder (kandhe) par apna sar rakh diya. Sanjay ne Smile bhari nazro se use dekhte hue man me bola " mai to tumhara hath zindagi bhar pakadna chahta hu. " phir ek taraf dekhne laga. wo kaafi khush tha..
Pune pohachte hi dono train se utre aur bahar kii taraf jane lage. tabhi raste se usne ek Rose utha liya aur smile dene laga. bahar pohach kar, " Sanjay .... " jaise hi Divya ne naam liya to usne wo rose piche chupa liya . " Sanjay jo tumne mere liye kiya uske liye mere pass koi shabd nahi hai.. mai bas itna kehna chahti hu kke tumne jo mere liya wo mai kabhi nahi bhulungi , zindagi bhar yaad rakhungi.. tum sach me bohat acche ho.. " usne kaha aur use Hug kar ke jaane lagi. abhi 1-2 step hi liya tha ke wo ye kehti hui palti " aur ek baat batana to mai bhul hi gayi.. .. 4 mahine (months) baad meri Shadi hai aur tumhe zarur aana hoga. plz mana mat karna warna mujhe bohat bura lage ga.. " Shadi ka naam sunte hi Sanjay ka Dil tut gaya, uske chehre ki wo smile chali gayi.. " mai zarur aaunga bas ek baar call kar ke yaad dila dena.. " usne fake smile ke sath kaha. " ab tak to tum itne khush the Achanak ye mood kyu off hogaya..? " " wo actually ab yaha se hum alag ho jayenge na tum apni Manzil mai apni Manzil..... " Sanjay ne kaha.. " wo to hai, okay to hum phir milte hai... Nice to meet you..." Divya ne hath aage badhate hue kaha to Sanjay ne Smile ke sath hath milaya.. " Nice to meet you too.. " phir wo Divya Taxi ki taraf chali gayi. Sanjay use jaate dekh jaise andar se rone laga... usne wo rose jo Divya ko dene ke liye liya tha wo ek baar dekha phir saamne se aati ek cute si bacchi (little Girl) ko de diya aur smile dete hue ek taraf chala gaya....
END....