Friday, 28 October 2016

Humko Pyar Hua

(Story- 01)
                                                                                                         Part - 4

     ..... Sanjay waha se bhaga aur next Station par utar gaya aur Taxi pakad ke usse pehle wale Station ki taraf jane laga. " Sir, aapko jana kaha hai waha.. ? " Driver ne pucha to Sanjay bola " pata nahi.. "  " Pata nahi matlab..? phir jaa kyu rahe ho.? "  " mai waha kisi ko dhundne ja raha hu. "  " Aree to kisko dhundne ja rahe ho naam batao mai to wahi ka rehne wala sabko janta hu. bolo kaun hai .?  "  " mai jise dhundne ja raha hu na hi wo waha ki hai aur na hi tum use jante ho "  " ye kya baat hui Sir, waha raho tabhi jaano aisa zaruri to nahi na. kitno se to pehchan is liye ho jati hai kyu ke wo mere customer ban jate hai. aur kitno ke to chehere yaad ho jaate hai. Aap ek baar photo to dikhao "  " Okay " keh ke Sanjay ne apne Mobile pe Divya ki photo dikhai to wo photo dekh k bola " Oooo kya ladkki hai yr sach me.. " Driver bola phir Sanjay ka face dekhte hi kehne laga "  ab aisi photo dikhao ge to kya hoga.. waise maine ise kahi dekha hai.. "   " kaha dekha tha...? " Sanjay jaldi se bola  " abhi thodi der pehle aapke mobile me..   "  " mai mazak ke mood me nahi hu. "  " sorry Sir, agar dekha hota to zarur bolta. waise aap ise dhund kyu rahe hai. ? "  "  kyu ke ye ghum ho chuki hai, kisi ne iska Kidnap kiya hai.. "  " kya Kidnap .? Sir aap bhi na , Kidnap hua hai to Police ke pass jao na. " Driver bola.  " mujhe Police ki zarurat nahi, mai akela hi use dhund lunga. " Sanjay bola aur bahar dekhne laga.. Driver bad-badaye ja raha tha. " Sir meri baat maano to Police ke pass jao wo zarur use dhund lenge.. aap sun rahe hai mai kya keh raha hu.. " kuch door jaane ke baad usne Taxi rok di aur bola " Sir mujhe yaad ayamaine ise kaha dekha tha.. "  " kaha dekha tha tumne ise.. ? " Sanjay ne pucha.  " Sir kal raat 3 log is ladki ko leke aaye aur meri gadi me baith gaye, wo ladki aisa lag raha tha full toon thi.  wo 3no use Sahara diye chal rahe the maine pucha....  { " kya hua Sir Madam thik to hai na .? "  " han thik hai bas thoda zyada pee liya is liye to ye halat ho gayi, puri Party ka maza kharab kar diya.." Rajiv bola. " hota hai Sir aisa, ab meri wali ko dekh lo ek baar hum ek club me gaye aur phir wo bhi......  "  } " tumne un logo ko utara tha yaad hai.? " Sanjay ne uski baat kat te hue pucha. " han bilkul yaad hai abhi le chalta hu waha. " keh k Driver ne gadi start ki aur phir wo log us jaga pohche.. " tumhe pakka yaqeen hai ke tumne un logo ko yahi choda tha..? " Sanjay ne jaga dekhte hue pucha. actually wo jis jaga ruka tha wo main road tha aur Raste usse lag ke gaye the. " han Sir maine to yahi utara tha mujhe acche se yaad hai. " Driver bola. " Accha ye batao wo log gaye kis taraf the. ? "  " thik se to nahi dekha tha jaate par shayed us taraf gaye the.. " Driver ne sochte hue ek taraf ishara kiya.  " okay thanx, ye lo tumhare paise. " Sanjay ne paise diye aur us taraf bhaga to Driver chillaya " Sir baki 100 Rupe ??  "  " rakh le yr.. " Sanjay ne door se kaha. " Sir  mai wapas nahi de raha mang raha hu..... " Driver bola tab tak Sanjay ja chuka tha.
        
           Sanjay har kisiko apne mobile se Divya ki photo dikhata aur uske baare me puchta. par koi bhi uske baare me nahi janta tha. thak har ke wo Police Station gaya.  " to ye ladki jiska naam Divya wo train se kidnap ho gayi ha..? " Inspector ne baate sunne ke photo dekhte hue pucha. " yes Sir, aur mujhe poora yaqeen hai ke un 3no ne  Divya ka kidnap kiya hai. Sir yaha tak mujhe ek taxi wale ne pohchaya usi ne mujhe bataya k koi 3 ladke the jo uski taxi me baith kar yaha aaye the. Sir plz  kuch bhi kariye aur Divya ko dhund nikaliye.."  " Aap tension mat lo hum puri koshish karenge. " Inspector ne kaha phir Sanjay waha se bahar agaya. " mai Police ke bharose nahi baith sakta. mujhe khud bhi use dhundna hoga.." Sanjay khud se bola aur ek taraf nikal pada . subha se dhundte dhundte shaam ho gayi par Divya nahi mili. Subha se Sanjay ne kuch khaya bhi nahi tha is liye wo kuch khane ek hotel me chala gaya. " Apun order leke aa gaya. " waiter ne khana rakhte hue bola but Sanjay ka dhyan uske mobile me lagi Divya ki photo  par tha.  " kuch bhi ho jaye par mai use dhund kar rahunga. chahe mujhe kuch bhi karna pade. " Sanjay khud se bola. waiter abhi wahi khada tha usne photo dekhi to kuch sochte hue bola " Apun isko dekhe la lag raha hai.. " ye sunte hi Sanjay foran uski taraf dekhte hue bola " kya kaha tumne ? "  " yahi ke apun isko kahi dekhe la hia par kidhar wo sala yaad nahi.. "  "  plz yaad karo ek baar plz "  " apun socha re par sala Dimag me hi nahi aara. "  " mera ye janna bohat zaruri hai plz ek baar yaad kar ke batao "  " apun bola na nahi yaad ara to kyu Dimag garam kar ra hai, abhi jaane de apun ko bohat kaam hai. " bol ke wo jaane laga to Sanjay bola " mai janta hu tum aise nahi bataoge.. bolo kitna paisa chahiye mai dene ko tyyar hu.  "  " Dekho sab. manta hai apun baat acche se nahi kar pata to iska ye matlab nahi k apun andar sebhi bura hai... mehnat kar ka khata hai apun galat kaam ka nahi... ek last time tere liye yaad karta hai. agar yaad nahi aaya to dobaraa  bolne ka nahi ha ..."  " okay "  Sanjay ne kkaha to wo sochne laga....  " kidhar dekha haiapun isko.. Park me..? nai , hotel me .. bhi nahi,...  theater me dekha rahe ga . haaa...,  nai yr apun to aaj tak kabhi waha gaya hi nahi..... " kuch der sochne ke baad " apun ko maaf karo Sab. apun ne bohat socha par sala yaad nahi aya apne ko. " ye sunte hi Sanjay ka mood phir se off  hogaya... use laga tha jaise wo Divya ko dhundne me ek step aage ajayega par ye ummid bhi bekar ho gayi. tabhi  " ha ghar jaate time Apun takraya tha isse.. "  " Kuch kaha tha tumne..? " Sanjay ne palat k dekha to wo waiter khada tha wo bola  " Apun ko yaad aya , kal jab apun duty khatam kar ke  ghar ja raha tha to raste me apun kkuch logo se takra gaya tha.  "  " Kin logo se saaf saaf batao  "  " pata nahi wo kaun log the, par ha koi 2-3 Admi the. wo isko pakde kahi le ja rahe the. Apun jab takraya tab wo behosh thi.  ....   { "aye dekh ke nahi chal sakta kya.? " Atul bola. " Apun jan bujh ke thodi aisa kiya, ho gaya galti se ..waise ye ladki ko hua kya ha? "  " ye sidhiyon (stairs) se niche gir gayi aur behosh ho gayi. is liye ise Hospital le ja rahe hai. " Rajive bola.... }  phir wo log chale gaye.. "   " kya tumhe yaad hai wo log kis taraf gaye the.?  "  " uska tension nahi lene ka Apun tumhare ko waha tak leke jayega bas 2 minute ruko apun aata hai.. " bol ke wo chala gaya. phr uske aate hi wo log chal pade.  "  Tumhe un logo ko dekh kar kuch ajeeb nahi laga tha..? " Sanjay ne pucha.  " laga tha na Sab. sabse zyada to ye baat ajeeb lagi  un log jis taraf Hospital ka bol ke gaye the us taraf to koi Hospital hai hi nahi  "   " what. ??? to tumne koi action kyu nahi liya. ? "   " kya sab. us time Apun thaka hua tha. Apun ko kya mallum kya matter hai, Apun socha jaha jaare jaane do Apun k baap ka thodi kuch jara.."  " Damn it.. apne Desh ke logo ki na yahi problem hai. kuch bhi galat hota hua dekhenge par koi action nahi lenge.. Kabhi kisi ki help nahi karenge..  "  " aisa mat bolo Sab. Apun tumhari help to kar raha hai na.."  " ha bilkul kar rahe ho but bohat late. agar usi time kuch action liya hota to shayed mujhe use itna dhundna na padta... but thank you so much ke tumne itna kiya mere liye. " Sanjay bola aur chalne laga. kuch der chalne ke baad,  " sab. bas idhar hi Apun un log se mila tha. phir wo log us taraf chale gaye the.. uske baad kaha gaye wo Apun ko nai mallum. "  " tumne itna bata diya wahi bohat hai mere liye. once again thanx bro.. " keh k wo us taraf jaane laga to piche se wo waiter bola  " sab. tumne jo Apun ko wo help wali baat boli na wo Apun ke idhar lagi .. Aajke baad Apun humesha is baat par dhyan dega.. "   " ye na baat, thats great.." keh ke wo chala gaya..

                                                                                                        To be continued....        

No comments:

Post a Comment